Wednesday, December 1, 2010

Chahein To Sab Hunar Pe mere


Chahein to sab hunar pe mere shaq hi kijiye
Hisse ki mere galtiyon ka haq bhi dijiye

Kitna bhi ho sawab magar gair pe karam
Jitna ho dastaras mein wahan tak hi kijiye

Kooche mein mere aan ke mujhse milenge woh
Mujhe pe bhi khuslasa ye achanak na kijiye

Samjhein to sahi pech-o-kham uske sawal ke
Dein soch kar jawab , yakayak na dijiye

Baandhey na rahein aankh pe ulfat ki pattiyaan
Mehboob ho haseen to zara shaq bhi kijiye

Jo husn-e-bakamaal hain jo chahe wo karein
Jisne kiya ho pyaar to uff tak na kijiye

Wednesday, November 24, 2010

Wo Shay Jo Sabse Anokhi Thi


Wo shay jo sabse anokhi thi
Kyon meri nahi ho sakti thi
Sab beet gayin matam karte
Jo shamein haseen ho sakti thi

Ta-umr chale jiski jaanib
Payi to mujhe bekaar lagi
Jinhein chhod aaye raahein kahke
Manzil bhi wahi ho sakti thi

Jab bhi kahin jaake usse mile
Bas baatein wahi maazi ki kahi
Pachhtaye bohot fir sochke hum
Kuchh baat nayi ho sakti thi

Aye kaash ki hum pichhle janmon
Kuchh yad-e-khuda bhi kar lete
Jis par usne tera naam likha
Wo meri jabin ho sakti thi

Naya daur chala kewal nau din
Ab sochke ye sir dhunta hoon
Jo baat kahi purkhon ne mere
Wo baat sahi ho sakti thi

Tuesday, October 12, 2010

Maan Jaa Zindagi


Ek din hum hue the khafa zindagi
Ab manata hoon main maan jaa zindagi

Maine paayaa magar mujhko bhaya nahi
Bin tere doosra wo khuda zindagi

Kaamyaabi meri bhi damakne lage
Aag isme tu aake laga zindagi

Teri aamad ka shayad ishara hai ye
Mushkilein ho rahi hain dhuaan zindagi

Bin tere mehfilein meri veeraan hain
Aa bhi ja zindagi; Maan jaa zindagi!!

Monday, September 27, 2010

Alvida Zindagi


Aaj tumse hue hum juda zindagi
Shukriya zindagi, Alvida zindagi

Tere jaane pe humko bada kaam hain
Dhoondna hai naya , ab khuda zindagi

Khush mizaazi meri royi hai foot kar
Jab bhi dekha tujhe ghamzada zindagi

Tere fitne , sitam, jalwe ya zulm hon
Hum sabhi pe rahe hain fida zindagi

Tere jaane mein ab bhi zara der hai
De mukammal si koi saza zindagi

Thursday, August 26, 2010

Dil kehta hai

Dil ye kehta hai use khat likho
Zehan ka mashwira hai mat likho

Ishq ka dard fir kabhi likhna
Maa ko aaj apni tabiyat likho

Shayad is baar dokha kha jaaye
Saaf  hai  meri ye  niyaat likho

Ishq ke tajrube se kamsekam
Bache huon ko naseehat likho

Friday, August 6, 2010

Rahne Do!!!

Kuchh mere raaz zamane se chhupe rahne do
Kuchh meri jaan mere paas mera rahne do

Kuchh na kuchh hoga "hamara" bhi yahan jaaneman
Ik zara der to ye "tera" "mera" rahne do

Khurduri roshni aane se rooh kat ti hai
Ye jo makhmal sa andhera hai zara rahne do

Ab aa bhi jao meri jaan sachi muchi ka
Khyal-o-khwaab mein dar roz feraa rahne do

Meri is din se kai din se suno katti hai
Ye jo masoom sawera hai zara rahne do

Kabhi jo fursaton mein ho

Kabhi jo fursaton mein ho mujhe itna bata dena
Koi din aisa bhi guzra ki mujhpe pyaar aayaa ho

Koi humsa hai duniya mein to kuchh aisi misaalein do
Ke tera haal sunne ko tera beemaar aayaa ho

Kabhi majbooriyon ka aisa bhi manzar kahin dekhaa??
Ke kaanton ki himayat mein gul-o-gulzaar aayaa ho

Kai din se hame wo dar-ba-dar kuchh aise dhoonde hai
Maqeen ko dhoondne jaise dar-o-deewaar aayaa ho

Mila jab bhi wo aake is qadar ehsaan tha mujhpar
Khuda jon chhodke duniya ka kar-o-baar aayaa ho

Mohabbat aag ka dariya suna humne bhi hai lekin
Meri khwahish hai wo jo doobke is paar aayaa ho

Tuesday, July 20, 2010

रोज़ाना

हर रोज़ मैं अपनी थोड़ी थोड़ी जान लेता हूँ
शाम तलक गर बचूं तो जिंदा हूँ मान लेता हूँ!!

बिखरा हुआ हूँ यूँ तो जानां अपनी ही मिटी में
बस तुमको देखा तो सीना तान लेता हूँ

 तेरी ही तो  ज़िद है  मेरी याद  में रहना है
वरना बता कब कोई मैं एहसान लेता हूँ !!!!

Friday, July 16, 2010

पुरानी सी बातें

चलो पुरानी सी बातें करें
वह सायानी सी बातें करें

बूढी हो चली तेरी यादों की
जवानी की बातें करें

मुमकिन है सबको रास ना आयें
चलो मनमानी सी बातें करें

ये जानी पहचानी बहुत कर लीं
चलो अनजानी सी बातें करें

हकीकत का ज़ुल्म क्या सहना
किस्से कहानी की बातें करें

अक्ल-ओ-फ़िक्र से हुआ क्या हासिल
चलो बेमानी सी बातें करें

Monday, June 28, 2010

सोचता हूँ

तू मुझे मिलता तो क्या इतनी ख़ुशी भी होती
कि तुझे खोने का ग़म है के बस जाता ही नहीं
सभी हँसते हैं मेरे साथ बस येही है वजह
अपने हालात किसी पे  मैं जताता ही नहीं

चाहे कमज़र्फ हूँ , बेबस  हूँ तेरा आशिक हूँ
वरना हर रोज़ तेरे दर पे मैं आता ही नहीं

क्यों सभी तेरे दीवाने हुए जाते हैं बता ??
किस्से चाहत की मेरी क्या तू सुनाता ही नहीं!!
मेरा अरमान है दिल खोल के रो लूं लेकिन
एक अरसे से मुझे कोई सताता ही नहीं!!!

Friday, June 4, 2010

Shayad Ye Bhi!!

Mujhko apne aap pe rona nahi aayaa
Shayad tujhe hi theek se khona nahi aayaa

Sunte hain raqeebon se ki khwabon mein aayaa tu
Shayad mujhe hi theek se sona nahi aayaa

Ruk jata tu tujhe thi qadar meer ashqon ki
Shayad mujhe hi theek se rona hai aayaa

Sabko ye shaikayat ki dil se khelta hai tu
Shayad mere hi dil ka khilona nahi bhaya

Tujhko bhi to chahat ki rahi hogi justuju
Shayad mujhe hi tujhko sanjona nahi aayaa

Shayad

Tere mere rishte mein kuchh khas nahi tha shayad

Matlab ki hai duniya ye vishwas sahi tha shayad

Ik dooje se bichhad ke jeena itna aasaan hoga

Tab hum dono ko hi ye ehsaas nahi tha shayad

Mere in haathon mein tera chand sa rochan chehra

Aisa dooja pal kismat ke paas nahi tha shayad

Warna kya ye mumkin hai ; tujhko mehsoos na hota ?

Dard mera dil ki mere aawaaz nahi tha shayad

Ik dooje ke bin bhi ab hum dono hans lete hain

Iske siwa hum don mein kuchh raaz nahi tha shayad!!!

Thursday, May 6, 2010

Khuda aur Main

Khuda jab ishq mein tere padega
Meri haalat use maloom hogi
Tera inkaar fir usko milega
Zalalat usko bhi maloom hogi
Wo fir sir pe utha lega zameen ko
Jahalat uski bhi maloom hogi
Isi tarha tu uspe bhi hasega
Teri masoomiyat maloom hogi
Wo jhallake tujhe dutkaar dega
Meri chahat tujhe maloom hogi

Thursday, April 29, 2010

Mujh Jaisa Koi

Ashkon se chehra , uska bhi nam hai
Mere gam ke jaisa , uska bhi gam hai

Meri tarah wo bhi, lage soona soona
Mere jaisi aankhein, uski bhi nam hai

Fire mehfilon mein, wo bhi tanha tanha
Wo bhi rota khulke , aur hasta kam hai

Har pal hai jaise, nashaad wo bhi
Wo bhi marta zyada , jeeta kam hai

Mujhse bhi zyada , behaal hain kuchh
Mera dard shayad, auron se kam hai

Wednesday, March 24, 2010

Haqeeqat!!

Hame chalaye rakha jisne teri hi yaad hai
Waise suna hai zindagi mein badi baat hai!!

Asal mein sooraj bhi ek taaraa hai
Zindagi besahar si ek lambi raat hai

Khuda ki khudayi sach hai ; maine dekha hai
Shahon ko bhi pyadon se mili maat hai

Zindagi intezaar mein baithi kanwari dulhan
Maut dulha aur janaza iski baaraat hai

Jo poore hue wo iraade the mere
Jo rah gaye adhoore mere jazbaat hai

Aapbeeti!!

Tera thoda thoda karke paraya hona aaj poora ho gaya
Aur main poora hoke aaj for adhoora ho gaya

Kisi gair ke honton se nikle tere naam ke goonj se
Meri kamzor si umeed ka dil choora choora ho gaya

Wo tera mujhe chhod ke jana aur mera chaunk ke uth jaana
Har roz tutne wala ye khwaab aaj poora ho gaya!!

Meri Salah

Apne dil mein thoda sa gila rahne do
Kahin ye aakhri alvidaa na ho!

Sochta hoon ki chhod doon main parastish teri
Mujhe darr hai kahin tu hi naakhuda na ho!

Mujhe chhod ke jao to main na rokunga
Isliye yun jana ki hum dil se juda na hon

Deewane husn ke kabhi kam nahi honge
Hum jaisa koi shayad fir tujhpar fida na ho!

Kuchh Meri Bhi!!

Use har haq hai mujhse roothe rahne ka
Use chheda hai mere naam se zamane
Par iski kuchh wajah uski wo zid bhi thi
Warna kya tha galat mujhe apnane mein

Aankh bhar hi aati hai sunne sunane mein
Ajab tarah ka dard hai mere fasane mein
Ek tujhi ko kho diya warna
Kamayi shehar ki har daulat tere diwane ne

Umar beet jaye shayad meri
Teri yaadon ko bhool paane mein
Log hairan hain kyon kar na sharaabi main hua
Nasha kuchh kam na tha
Tere diye aansoo pee jaane mein

Nigahein Aur Hont

Nigahonne use dekha aur betaab ho gayin
Karein tareef uski
To kaise
Nigahon ko zuban nahi hoti
Aur hont hain ki thakte nahi
Karte tareefein uski
Par main kyon unka yaqeen karoon
Hoton ko nigah nahi hoti !!!!

Monday, March 22, 2010

Jabse Mile Ho!!

Jabse mile ho gumshuda sa hoon
Apne ghamon se juda saa hoon
Apni sab khwahishein lagti hain mumkin
Khud hi khud ke khuda saa hoon
Apni har baat khas lagti hai
Khud hi khud pe fida saa hoon
Hasein ki royein soojhta nahi jab
Doston ke beech alvida sa hoon

Sunday, March 21, 2010

Kabhi yun bhi!!

Kuchh baat karein
Din raat karein
Kuchh tanha
Kuchh tere saath karein
Kabhi shaam dhale
Aur so jaayein
Kabhi aankhon hi aankhon
Raat karein
Kab tak dekhein
Tera mera
Chalo saath jiyein
Aur sath marein

Mera Darwaza

Mera darwaza
Mujhse mooh fere
Teri raah takta rahata hai
Mujhe aksar darata hai
Ki
Tujhse khayega chugliyaan meri
Ab ke aao to
uske saamne hi
jhhota sa daant dena mujhe
uska bhi dil rah jayega ; Aur
Main bhi samjhoonga ki
ab bhi mujhse tu pyaar karta hai !!!

Tuesday, March 2, 2010

Asal Baat!!!

Tanhayi ke saje dhaje baazaaron mein
Teri yaad ko soch samajh ke kharcha hai
Tabhi to tere chhod ke mujhko jane ka
Duniya bhar mein itna gehra charcha hai

Mumkin hai ke tune jane anjane
Dil ko mere thes kabhi pohonchayi ho
Kya meri aaukaat ke main kuchh gila karoon
Mere gunaah ka lamba chauda parcha hai

Meri wajah se tere jo aansoo chhalke
Jee mein aataa hai ke unmein doob maroon
Lekin khush hai soch ke meri khudgarzi
Isi bahane logon mein mera charcha hai

Tuesday, February 9, 2010

Kusoor aur Sazayein

Apne bhi to aakhir yahan kusoor bohot hain
Ek dil hi ki sunte hain aur magroor bohot hain

Ab isse badi usko bhala aur saza kya
Hum uske rafeekon mein bhi mashhoor bohot hain

Kuchh dinse hamein uski dua bhi nahi lagti
Shayad ye ishara hai ke hum door bohot hain

Kab tak wo laga rahta bata meri shifa mein
Kambakht mere seene mein nasoor bohot hain

Usne bade aaraam se mujhko bhula diya
Bas hum hi uske ishq mein mazoor bohot hain

Saturday, February 6, 2010

Tumhare Baad

The other day I was watching a sitcom and I heard a character say " Best revenge is to live well!!" Even though it was said in a different context on the show , But I feel it must be followed in our daily lives . So let us live well :-)

Tanhayi ka ghoont ye kadwa Humne pee kar dekha
Marna to aasaan bada tha Humne jee kar dekha

Ik Soorat to ye bhi thi Nasoor ise kar lete
Apne riste zakhm ko khud hi Humne see kar dekha

Dar dar bhatke peer auliye Yaar hi mera khuda hai
Apne khuda ko paas bitha ke Humne jee bhar dekha

Maar nahi paayi humko Eejaad khuda ki koi
Ishq ho, husn ho, gham ho zehar ho Humne pee kar dekha!!

Thursday, January 28, 2010

Main Tum aur Wo

When somebody loses a body part (say a hand) , he or she is trained to work without it. In some time he/she starts to work as good as before. Sometimes this new way of working seems better than the way he/she worked before. BUT ... Is it really OK that he/she is limbless. I don't think that even a single moment passes by without him/her remembering that missing limb. Like in our life when we decide to move on with a broken heart ... Do we really move on or we decide to live with it pretending that it is as good as new. If not pretending then at least getting used to it so much that sometimes it seems OK to be in pain. Much like a limbless person who may be an inspiration for others but only he/she knows how it feels to be without a hand .....

Wo saath mere; tum paas mere
Wo tajruba tum; ehsaas mere

Wo dil mein hai; tum dhadkan mein
Wo dua to tum ho Aas mere

Sab bhool chook leni deni
Wo nafa to tum nuksaan mere

Jhagda!!! wo mera main tera
Ye saans gale ki faans mere

Na mere yun tukde hote
Rah jaate jo tum paas mere

Wednesday, January 27, 2010

Poora Kya ??

Mujhmein se kuchh mujhko churake tu nikla
Tujhmein se kuchh tujhko chhupake main nikla
Thoda sa main tanha bhatkoon
Thoda sa main saath tere
Thoda sa tu tanha bhatke
Thoda sa tu saath mere
Tujhko khoke na main poora
Mujhse bichhad ke tu bhi adhoora
Poori hai is dil ki chubhan
Aur
Poora ye adhoorapan !!!!

Thursday, January 14, 2010

Tere Aane pe

I wonder why do we resort to our "Sarcastic Best Ways" in ridiculing a sudden appearance of a beloved one, who deserted us in the past... We often say "what a shock" or "Blast from Past" and what not!! I feel this sarcasm actually is a a secret celebration . That joyous feeling of "You still remember " .... But we chose to cover that celebration with our "As if I cared attitude" and rob ourselves and the other person of that moment of happiness which would have cost nothing and still would have been priceless. Life always offers us a simple option of being happy about what is at hand but we end up choosing the complex one of "It could have been different, had I or You or We (in case of Serene and Understanding people) been different". Is it really worth being human!! I wonder NO.......

Hum ne jhele jo sab azaab aaye
Aaj tum yaad behisaab aaye

Tumne de rakhi thi dua itni
Hum hamesha hi kamyaab aaye

Vaham-e-Pakeezgi bhi jaataa raha
Wo gunahon ki le kitaab aaye

Jane kya guzre hum gareebon pe
Sar-e-Mehfil wo bbenaqaab aaye

Dil ki rah jaati hai dhari ki dhari
Aksar us dar se laajawaab aaye

Thursday, January 7, 2010

Fir Wahi Baat

Being alone and loneliness are two different things. Being alone is a matter of choice but loneliness is a state of mind. It is better to be alone than lonely!!

Humne tere baare mein jab bhi koi khayaal likha
Logon ka kahna hai wahhh!!! wah!!! humne koi kamaal likha

Unko ye lagti hai tohmat is nakaam se aashiq ki
Apne haal ko dekhke humne jab bhi koi sawal likha

Sachmuch duniya khush hoti hai mere til til marne pe
Hawa mein mere purze ude hain jab khudko behaal likha

Beete lamhe yaad aane pe jab bhi aansoo aaye hain
Kasam tumhaari tab tab maine khudko malaa maal likha

Tanhayi se meri jung ka jab jab kissa likha hai
Tumko hi talwaar talwaar kabhi to tumko apni dhaal likha!!!

Monday, January 4, 2010

Beeti Baatein aur Main

When we truly love someone the entire world seems to be pointing towards that one person. Every love song seems to be written for "Us" and every romantic movie seems to be "Our" story. Same thing happens when love turns around and shows us its "Not so Pretty" (Didn't want to use the word "Ugly") side. I think that Love and Hate are different expression of same feeling. Feeling of "having "Someone Special" and being "Someone's Special Someone" !!!!

Wo mitti ko khod kar
Apne sir pe utha leta hai
Jo kisi teeley ka guroor thi (Teela:A small heap of soil or sand)
Ya kisi lotan ka suroor thi (Lotan: The curved roads downhill,Ghat)
Use apna hi wajood bhula deta hai
Fir usmein pani milaataa hai
Jane Mitti kartaa hai geeli ?
Ya pani sukhaataa hai
Fir jo aye dil mein
Shakal use deta hai
Na bhaye to
Badal use deta hai
Thap -Thap- Thap-Thap
Chaak par
Jee bhare tak mitti aur wo
Ek dooje ki thapkiyan khate hain ...........
..........Jane kyon kumhaar ko mitti se khelte dekhkar
Mujhko "Hum" Yaad ate hain........