Wednesday, April 20, 2011

Nayi Nayi Baatein Karta Hai


(Jo) Suni nahi baatein karta hai
Nayi nayi baatein karta hai

Use siyasat mein jana hai
Napi tuli baatein karta hai

Dost kahoon ya dushman usko
Mili juli baatein karta hai

Uske dil ki main kya janoon
Dhaki puti baatein karta hai

Gaon ke lab gaon ka lehja
Bhali bhali baatein karta hai

Shehar se aaya hai wo shayad
Sadi gali baatein karta hai

Wo barsaat ki dhoop ke jaisi
Dhuli dhuli baatein karta hai

Yeh taleem ki taseerein hain
Khuli khuli baatein karta hai

Sab kehte hain shayar hai par
Mamooli baatein karta hai

8 comments:

  1. Dost kahoon ya dushman usko
    Mili juli baatein karta hai

    shubhanallah, bahut gahri baat kah di aapne.
    khubsurat ghazal hai.
    mubarakbaad.

    ReplyDelete
  2. Uske dil ki main kya janoon
    Dhaki puti baatein karta hai

    Sab kehte hain shayar hai par
    Mamooli baatein karta hai

    Khoob kaha.....bahut badhiya

    ReplyDelete
  3. rachnaa mei prastut vichaar
    saraahneey haiN,,,
    dil aur dimaagh ne mil kar hi
    kahaa lagtaa hai ye sb !

    Wo barsaat ki dhoop ke jaisi
    Dhuli dhuli baatein karta hai

    mujhe khaas taur pr psand aaya ....

    ReplyDelete
  4. Daanish Sahab, Dr. Monika Sharma aur Mahendra Verma Ji ka bohot shukriya!!
    Ummeed hai aage bhi aapko meri tukbandi pasand ayegi.
    Vishal

    ReplyDelete
  5. Wo barsaat ki dhoop ke jaisi
    Dhuli dhuli baatein karta hai


    Yeh taleem ki taseerein hain
    Khuli khuli baatein karta hai

    Sab kehte hain shayar hai par
    Mamooli baatein karta hai

    wah kya baat hai ... yeh 3 stanzas mujhe sabse zyada pasand aaye ...overall I can say u did justice to the poem.

    ReplyDelete
  6. विशाल जी, आपकी कई रचनाएं पढ़ी हैं, बहुत अच्छी लगी.
    मेरा सुझाव है कि रोमन के बजाए (या साथ) देवनागरी में भी लिखा जाए तो अच्छा रहेगा.

    ReplyDelete
  7. Sujhav ke liye dhanyavad shahid Mirza sahab, Aage se khayal rakhoonga.
    Vishal

    ReplyDelete
  8. हुक्मरान बोलते हैं कहाँ नाप तोल के..,
    सिंहासन को पाते है उटपटांग बोल के.....

    ReplyDelete