Thursday, September 8, 2011

Rehne Do

Kuchh zamaane se nihaan* raaz mera rehne do
Kuchh mere pass meri jaan mera rehne do

Kuchh na kuchh hoga hamara bhi yahan dekho to
Ik zara der ko tum "tera" "mera" rehne do

Khuduri roshni aane se rooh kat ti hai
Ye jo makhmal sa andhera hai zara rehne do

Aman ke phool liye tum phiro basti basti
Uske haathon mein hai khanjar to dhara rehne do

Ye kisi aur ko mujh tak nahi aane dega
Uski chahat mein mila zakhm hara rehne do

Apne bachon mein milawat bhi karo duniya ki
Rehta kamzor hi sona jo khara rehne do

*Nihaan : Chhupa hua/Hidden

4 comments:

  1. Ye kisi aur ko mujh tak nahi aane dega
    Uski chahat mein mila zakhm hara rehne do

    Khuduri roshni aane se rooh kat ti hai
    Ye jo makhmal sa andhera hai zara rehne do

    ReplyDelete
  2. Kuchh zamaane se nihaan* raaz mera rehne do
    Kuchh mere pass meri jaan mera rehne do

    Kuchh na kuchh hoga hamara bhi yahan dekho to
    Ik zara der ko tum "tera" "mera" rehne do

    bahot khub.......

    ReplyDelete
  3. जिंदगी के सरकारों से जुडी
    अच्छी , और बहुत अच्छी रचना
    कहन और शिल्प
    दोनों प्रभावशाली .

    ReplyDelete
  4. अपने बच्चों में मिलावट न करो दुनिया की
    रहता कमज़ोर है सोना जो खरा रहने दो॥

    बहुत सुन्दर शिक्षा मिली। आभार!

    ReplyDelete