Wednesday, March 24, 2010

Haqeeqat!!

Hame chalaye rakha jisne teri hi yaad hai
Waise suna hai zindagi mein badi baat hai!!

Asal mein sooraj bhi ek taaraa hai
Zindagi besahar si ek lambi raat hai

Khuda ki khudayi sach hai ; maine dekha hai
Shahon ko bhi pyadon se mili maat hai

Zindagi intezaar mein baithi kanwari dulhan
Maut dulha aur janaza iski baaraat hai

Jo poore hue wo iraade the mere
Jo rah gaye adhoore mere jazbaat hai

Aapbeeti!!

Tera thoda thoda karke paraya hona aaj poora ho gaya
Aur main poora hoke aaj for adhoora ho gaya

Kisi gair ke honton se nikle tere naam ke goonj se
Meri kamzor si umeed ka dil choora choora ho gaya

Wo tera mujhe chhod ke jana aur mera chaunk ke uth jaana
Har roz tutne wala ye khwaab aaj poora ho gaya!!

Meri Salah

Apne dil mein thoda sa gila rahne do
Kahin ye aakhri alvidaa na ho!

Sochta hoon ki chhod doon main parastish teri
Mujhe darr hai kahin tu hi naakhuda na ho!

Mujhe chhod ke jao to main na rokunga
Isliye yun jana ki hum dil se juda na hon

Deewane husn ke kabhi kam nahi honge
Hum jaisa koi shayad fir tujhpar fida na ho!

Kuchh Meri Bhi!!

Use har haq hai mujhse roothe rahne ka
Use chheda hai mere naam se zamane
Par iski kuchh wajah uski wo zid bhi thi
Warna kya tha galat mujhe apnane mein

Aankh bhar hi aati hai sunne sunane mein
Ajab tarah ka dard hai mere fasane mein
Ek tujhi ko kho diya warna
Kamayi shehar ki har daulat tere diwane ne

Umar beet jaye shayad meri
Teri yaadon ko bhool paane mein
Log hairan hain kyon kar na sharaabi main hua
Nasha kuchh kam na tha
Tere diye aansoo pee jaane mein

Nigahein Aur Hont

Nigahonne use dekha aur betaab ho gayin
Karein tareef uski
To kaise
Nigahon ko zuban nahi hoti
Aur hont hain ki thakte nahi
Karte tareefein uski
Par main kyon unka yaqeen karoon
Hoton ko nigah nahi hoti !!!!

Monday, March 22, 2010

Jabse Mile Ho!!

Jabse mile ho gumshuda sa hoon
Apne ghamon se juda saa hoon
Apni sab khwahishein lagti hain mumkin
Khud hi khud ke khuda saa hoon
Apni har baat khas lagti hai
Khud hi khud pe fida saa hoon
Hasein ki royein soojhta nahi jab
Doston ke beech alvida sa hoon

Sunday, March 21, 2010

Kabhi yun bhi!!

Kuchh baat karein
Din raat karein
Kuchh tanha
Kuchh tere saath karein
Kabhi shaam dhale
Aur so jaayein
Kabhi aankhon hi aankhon
Raat karein
Kab tak dekhein
Tera mera
Chalo saath jiyein
Aur sath marein

Mera Darwaza

Mera darwaza
Mujhse mooh fere
Teri raah takta rahata hai
Mujhe aksar darata hai
Ki
Tujhse khayega chugliyaan meri
Ab ke aao to
uske saamne hi
jhhota sa daant dena mujhe
uska bhi dil rah jayega ; Aur
Main bhi samjhoonga ki
ab bhi mujhse tu pyaar karta hai !!!

Tuesday, March 2, 2010

Asal Baat!!!

Tanhayi ke saje dhaje baazaaron mein
Teri yaad ko soch samajh ke kharcha hai
Tabhi to tere chhod ke mujhko jane ka
Duniya bhar mein itna gehra charcha hai

Mumkin hai ke tune jane anjane
Dil ko mere thes kabhi pohonchayi ho
Kya meri aaukaat ke main kuchh gila karoon
Mere gunaah ka lamba chauda parcha hai

Meri wajah se tere jo aansoo chhalke
Jee mein aataa hai ke unmein doob maroon
Lekin khush hai soch ke meri khudgarzi
Isi bahane logon mein mera charcha hai