Thursday, August 26, 2010

Dil kehta hai

Dil ye kehta hai use khat likho
Zehan ka mashwira hai mat likho

Ishq ka dard fir kabhi likhna
Maa ko aaj apni tabiyat likho

Shayad is baar dokha kha jaaye
Saaf  hai  meri ye  niyaat likho

Ishq ke tajrube se kamsekam
Bache huon ko naseehat likho

Friday, August 6, 2010

Rahne Do!!!

Kuchh mere raaz zamane se chhupe rahne do
Kuchh meri jaan mere paas mera rahne do

Kuchh na kuchh hoga "hamara" bhi yahan jaaneman
Ik zara der to ye "tera" "mera" rahne do

Khurduri roshni aane se rooh kat ti hai
Ye jo makhmal sa andhera hai zara rahne do

Ab aa bhi jao meri jaan sachi muchi ka
Khyal-o-khwaab mein dar roz feraa rahne do

Meri is din se kai din se suno katti hai
Ye jo masoom sawera hai zara rahne do

Kabhi jo fursaton mein ho

Kabhi jo fursaton mein ho mujhe itna bata dena
Koi din aisa bhi guzra ki mujhpe pyaar aayaa ho

Koi humsa hai duniya mein to kuchh aisi misaalein do
Ke tera haal sunne ko tera beemaar aayaa ho

Kabhi majbooriyon ka aisa bhi manzar kahin dekhaa??
Ke kaanton ki himayat mein gul-o-gulzaar aayaa ho

Kai din se hame wo dar-ba-dar kuchh aise dhoonde hai
Maqeen ko dhoondne jaise dar-o-deewaar aayaa ho

Mila jab bhi wo aake is qadar ehsaan tha mujhpar
Khuda jon chhodke duniya ka kar-o-baar aayaa ho

Mohabbat aag ka dariya suna humne bhi hai lekin
Meri khwahish hai wo jo doobke is paar aayaa ho