Apne bhi to aakhir yahan kusoor bohot hain
Ek dil hi ki sunte hain aur magroor bohot hain
Ab isse badi usko bhala aur saza kya
Hum uske rafeekon mein bhi mashhoor bohot hain
Kuchh dinse hamein uski dua bhi nahi lagti
Shayad ye ishara hai ke hum door bohot hain
Kab tak wo laga rahta bata meri shifa mein
Kambakht mere seene mein nasoor bohot hain
Usne bade aaraam se mujhko bhula diya
Bas hum hi uske ishq mein mazoor bohot hain
No comments:
Post a Comment