Tuesday, October 12, 2010

Maan Jaa Zindagi


Ek din hum hue the khafa zindagi
Ab manata hoon main maan jaa zindagi

Maine paayaa magar mujhko bhaya nahi
Bin tere doosra wo khuda zindagi

Kaamyaabi meri bhi damakne lage
Aag isme tu aake laga zindagi

Teri aamad ka shayad ishara hai ye
Mushkilein ho rahi hain dhuaan zindagi

Bin tere mehfilein meri veeraan hain
Aa bhi ja zindagi; Maan jaa zindagi!!

2 comments:

  1. Bahut khoob. Umda likha hai. All the best.

    ReplyDelete
  2. Fir bebas ho maine aaj tujhe yaad kiya
    Lutake khudko tujhpe ,tujhe hi aabad kiya
    Tut, bikhar,jud sakoon na ab main kabhi
    is tarah tune mujhe barbaad kiya
    kar naam tumhare khushiyo ki jaagir saari,
    ab dard-e-dil ka bhi tume taaz shehzaad kiya
    juda mujhse hone ka na lage tujhpe ilzaam ab
    ja maine tujhe aaj teh-dil se azaad kiya…

    ReplyDelete