Wednesday, January 25, 2012

Thodi Si Achhayi Se Tu Sadiyon Jaanaa Jaayega

Thodi si achhayi se tu sadiyon jaanaa jaayega
Andhon mein gar kaanaa hai tu raajaa maanaa jaayegaa

Thodi si achhayi se tu sadiyon jaanaa jaayega
Daur-e- giraawat mein tu uthh ja insaan maanaa jayegaa

Mera asla tera tamancha lekin khel adhoora hai
Unko bhi to karo ikathha jinpar taanaa jaayegaa

Galti na hojaye mujhse jaane ya anjaane mein
Mere kaam se mera saaraa kunba jaanaa jaayega

Bachhe ki jo zid hai to fir do gubbare le lo naa!
Warna ye bhi ro dega aur mera khaanaa jaayegaa

Aaj nahi parwaah kisko jis benoor haweli ki
Gir jaane ke baad isikaa malbaa chhaanaa jaayegaa
 

Monday, January 16, 2012

Mujhko Seedhi Saadi Baatein Yaad Raheingi

Mujhko seedhi saadi baatein yaad raheingi
Gum hoti dehaati batein yaad raheingi

Jhoot fareb se jeetega; sach harwaa dega
Mujhko sab bharmaati baatein yaad raheingi

Aankhon ne aankhon se ki jo khamoshi mein
Mujhko wo gash khaati** baatein yaad kareingi

Shayar ho jaa, ghazlein keh le, lekin fir bhi
Maan ko wo tutlaati baatein yaad raheingi

Aur nikhar kar aanaa hai is hunar ko lekin
Mujhko ye shuruaati baatein yaad raheingi

** Gash Khaana: Feeling Dizzy/ Chakkar aanaa

Tuesday, January 3, 2012

Maseehaao Mujhe Barbaad Kar Do

Mere sab dushmanon ko shaad** kar do
Maseehaao mujhe barbaad kar do

Hai aaleeshaan pinjraa, par parindaa
Yeh kehtaa hai mujhe aazaad kar do

Use aane pe jo majboor kar de
Khataa aisi koi eejaad*** kar do

Jo agli nasl kaa saayaa baneingey
Unhi paudhon ki mujhko khaad kar do

Meri manzil alag, raahein judaa hain
Iraadon ko mere faulaad kar do


**Shaad: Happy
***: Eejaad: Invent