Wo shay jo sabse anokhi thi
Kyon meri nahi ho sakti thi
Sab beet gayin matam karte
Jo shamein haseen ho sakti thi
Ta-umr chale jiski jaanib
Payi to mujhe bekaar lagi
Jinhein chhod aaye raahein kahke
Manzil bhi wahi ho sakti thi
Jab bhi kahin jaake usse mile
Bas baatein wahi maazi ki kahi
Pachhtaye bohot fir sochke hum
Kuchh baat nayi ho sakti thi
Aye kaash ki hum pichhle janmon
Kuchh yad-e-khuda bhi kar lete
Jis par usne tera naam likha
Wo meri jabin ho sakti thi
Naya daur chala kewal nau din
Ab sochke ye sir dhunta hoon
Jo baat kahi purkhon ne mere
Wo baat sahi ho sakti thi