Thursday, December 17, 2009
Woh!!
Poori hoti hain aksar
Unki maangi duaein
Intezaar-e-kayamat ???
Unki dekho adayein
Khuda bechain sa tha
Unki sunli sadayein
Balaon mein tha charcha
Unki lelo balayein
Subha bebas khadi thi
Unko sote jagayein
Dekh lein fitne unke
Kaash humko sataayein
Wednesday, December 16, 2009
Befikri mein!!
Let go.... May be we are missing on something better .
Karke roshan ishq ki kuchh mom battiyaan
Usne andheron mein mere aag laga di
Nahaq thi meri zid ki mujhe chaand chahiye
Usne sitaron se meri raat saja di
Maine jo ilzaam kabhi usko diya hai
Usne iski mere hi jazbaat wajah di
Is kadar bebas the hum bhi, dil bhi, zehan bhi
Tujhse judi humne bhi har baat bata di
Friday, December 11, 2009
Bohot Hua!!
It always intrigues me that what makes us love someone even if we are not loved back in same way. I think that we tend to believe that by holding on to some good past memory or a person we are being loyal to that person . We keep basking in the glory of the past.. It is agonising....
Yehi behtar hai ab chala jaye
Arsh-e-chahat se ab dhala jaye
Wo na ayeinge bas isi khatir
Unki yaadon pe ab pala jaaye
Khudhi se teri sab yaadein churake
Chalo khud hi ko ab chhala jaaye
Kuchh uski aur kuchh meri bhi
Aarzo hai wo ab chala jaye
Wednesday, December 9, 2009
Tumhe yaad hai na!!
Jab mere khwaab toote
Tumhe yaad hai na!!
Tere aage hi ik din
Jab ye jazbaat foote
Tumhe yaad hai na!!
Ferke mujhse aankhein
Jab wo ehsaas loote
Tumhe yaad hai na!!
Mujhko dekha kaha fir
Tere jazbaat jhoote
Tumhe yaad hai naa!!
Dekh li teri chahat
Jab kaha aankhein moonde
Tumhe yaad hai naa!!
Thursday, December 3, 2009
Naakhuda Ka Afsos
Sabhi kahte hain
Asal mein mujhiko
Khuda hona hona tha
Shart itni see thi
Ki tujhse juda hona tha
Maine tujhko chuna
Aur tune zamane ko
Ab hum saath bhi nahi
Aur hum juda bhi nahi
Tu bhi mera nahi
Aur main khuda bhi nahi
Afsaane
Barson baad use dekha to , Kuchh bhi na pahle jaisa tha
Wo to badal gaya tha; jane, Main kyon pahle jaisa tha
Jiske har aanso ke badle ,Khoon baha mere dil ka
Soch samajh ke wo kahta ha ,Ye jaise ko taisa tha
Tu hi batla de aye kasid, Tune usko dekha hai
Mujhko koste waqt batana, Aakhir wo dikhta kaisa tha
Khel khel mein phool masalte, Hanste hue wo kahte hain
Wo jo bhi tha jiska dil toota, Kuchh kuchh iske jaisa tha
Tuesday, November 24, 2009
Andeshe
Andeshe
Zara thehro aye ashqon, wo bas aataa hi hoga
Nayi wajahein tumhari, wo bas laataa hi hoga
Naye Rishte bane yaa, wo ab masroof hove
Mera barson ka humdum, wo kahlata hi hoga
Kahan mitte hain aakhir, Nishan dil pe banein jo
Wo tanhayi mein unko sehlata hi ho hoga
Na ab wo yaad aaye, na ab laage wo apna
Wo khudko baitha baitha, yun behlaata hi hoga