Tuesday, February 28, 2012

चारदिवारी पर तो हमने कांच बिछाकर रखा है

सोच रहा हूँ काग़ा आखिर क्यों संदेसा लाएगा
चारदिवारी पर तो हमने कांच बिछाकर रखा है

देखें उसके चाहने वाले रीस कहाँ तक करते हैं
हमने छत पे उसकी ख़ातिर चाँद मंगाकर रखा है

सोहबत की तासीर से शायद क़ुदरत भी वाक़िफ ही थी
उसने दिल को ज़ेहन से थोड़ा दूर बिठाकर रखा है

इक दिन मैं अपने बेटे के नाम से जाना जाऊंगा
बाप ने दिल ही दिल में ये अरमान सजाकर रखा है

आखिर तक वो ना माना तो दिल का ज़ख्म दिखा दूंगा
आड़े वक़्त को तरकश में ये तीर छुपाकर रखा है

Monday, February 13, 2012

वो ख़्वाबों में भेस बदल कर आया है

उसने मुझको ऐसे भी अज़माया है
वो ख़्वाबों में भेस बदल कर आया है

मां डरती है बेटे जबसे मर्द हुए
मंझले ने कल उसपर हाथ उठाया है

बाप की गर्दन कंधे निग़ल गए सुनकर
बेटे ने पटवारी घर बुलवाया है

जाने क्या होता था  दही में, शक्कर में
कितनी बार तो मुझको पास कराया है

नीले रंग का कुर्ता सबके पास है पर
उसके वाला आसमान से आया है

Wednesday, February 1, 2012

Chaand Sitaare Milkar Use Sataate Honge

Chaand sitaare milkar use sataate honge
Usko mere naam se phool chidhaate honge
 
Aankhon ki wo jheelein bhar bhar aati hongi
Usko mere qisse log sunaate honge
 
Gusse pe na qaboo rehta hoga jab jab
Mere sher ko apna log bataate honge
 
Resham ke sirhaane bistar se girne par
Usko meri baahein yaad dilaate honge
 
Unke dil kaa bojha kuchh kam hota hoga
Wo jab apni jhooti qasmein khaate honge

Wednesday, January 25, 2012

Thodi Si Achhayi Se Tu Sadiyon Jaanaa Jaayega

Thodi si achhayi se tu sadiyon jaanaa jaayega
Andhon mein gar kaanaa hai tu raajaa maanaa jaayegaa

Thodi si achhayi se tu sadiyon jaanaa jaayega
Daur-e- giraawat mein tu uthh ja insaan maanaa jayegaa

Mera asla tera tamancha lekin khel adhoora hai
Unko bhi to karo ikathha jinpar taanaa jaayegaa

Galti na hojaye mujhse jaane ya anjaane mein
Mere kaam se mera saaraa kunba jaanaa jaayega

Bachhe ki jo zid hai to fir do gubbare le lo naa!
Warna ye bhi ro dega aur mera khaanaa jaayegaa

Aaj nahi parwaah kisko jis benoor haweli ki
Gir jaane ke baad isikaa malbaa chhaanaa jaayegaa
 

Monday, January 16, 2012

Mujhko Seedhi Saadi Baatein Yaad Raheingi

Mujhko seedhi saadi baatein yaad raheingi
Gum hoti dehaati batein yaad raheingi

Jhoot fareb se jeetega; sach harwaa dega
Mujhko sab bharmaati baatein yaad raheingi

Aankhon ne aankhon se ki jo khamoshi mein
Mujhko wo gash khaati** baatein yaad kareingi

Shayar ho jaa, ghazlein keh le, lekin fir bhi
Maan ko wo tutlaati baatein yaad raheingi

Aur nikhar kar aanaa hai is hunar ko lekin
Mujhko ye shuruaati baatein yaad raheingi

** Gash Khaana: Feeling Dizzy/ Chakkar aanaa

Tuesday, January 3, 2012

Maseehaao Mujhe Barbaad Kar Do

Mere sab dushmanon ko shaad** kar do
Maseehaao mujhe barbaad kar do

Hai aaleeshaan pinjraa, par parindaa
Yeh kehtaa hai mujhe aazaad kar do

Use aane pe jo majboor kar de
Khataa aisi koi eejaad*** kar do

Jo agli nasl kaa saayaa baneingey
Unhi paudhon ki mujhko khaad kar do

Meri manzil alag, raahein judaa hain
Iraadon ko mere faulaad kar do


**Shaad: Happy
***: Eejaad: Invent

Thursday, December 22, 2011

Arse Mein Jab Dilbar Aayaa

Arse mein jab dilbar aayaa
Mera bhi fir dil bhar aayaa

Gulshan mein to jashn hua jab
Phool gulaabi khilkar aayaa

Shayad wo iqraar hi kar de!!
Main bhi dil ko sil* kar aayaa

Log mujhe achha kehta hain
Jabse usko milkar aayaa

Hum dono ka poochhaa sab ne
Main bhi taad ko til kar aayaa

Fir mere alfaaz bhi mehke
Jab honton ko silkar aayaa

*Sil: Stone